Islamic Sms

1
1 Choti Si Misaal

Aap Imtehan Dene Gey
Aapko 1 Sawal k Jawab Mai ye Likhna Pare

"Me Karachi Mai Rehta Hon" Aur Aap Jawab Likhen. ( M.K.M.R.H )

Kya Examinar Ise Qabol Kar k Aapko Pass kar Dega?

Ab jo "Sallallaho Alehi Waalehi Wasallam" k bajae ( S.A.W.S ) Likhte ho

Kya Wo mutma'in Ho K Unka Drood Pak Qabol Hojaega. 

2

Din Mai 5 time Namaz Parhne ko Apne Aadat Bana Lo
Sirf ye soch Kar k kya pata k ye Azan Tm Aakhry Bar Sun rhe ho?
Kya pata Tmhara Rab Tumhai Aakhre bar Pukar Raha Hai?

80% log Tum mai se ise fwd nahe krte.
ALLAH TALLAH frmate hai k agar Tum apne Logo k Samnay
Mujhe Radd Kroge to Mai Tumhe Apne nazar mai Radd kar Dunga! 

3

Nabi (s.a.w) said: Fahesh Goi jis Cheez mein Hoti Hai
Usko Aebdaar karti hai,

Aur Haya jis Cheez mein Hoti Hai
Usko Zeenat Deti Hai. Tirmizi 

4

Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain. 

5

A Girl Dresses up Trying to look as pretty as possible.
Applies make-up & styles her hair.
She wants to look attractive.
She goes out, comments form men flatters her.
They stare at her develop dirty thoughts & Some would want to act upon their thoughts & some do. She didn't want that Or did she?

THINK

When Islam advises women to cover themselves & be simple,
Its not without a reason. Islam doesn't limit the Freedom of Women
But to make them more Independent. 

6

 Aj Kal Bikes ki Head light Pe ALLAH k Name K
Sticker lagy Hoey hoty hain.

Jab light Jalti hai to Us ka Aks Zamin Pe Parta hai
Jo k Be'Adbi hai... Khayal Rakhen Plz.

7

Koi DOCTOR Science Oarhe bina Doctor ban Sakta hai?

Nahi na?

To

Sochiye K

Hum QURAAN Aur NAMAZ parhe Bina MUSALMAN kesy Banain Gey?

THINK ABOUT IT. 

8

Khudawnd Kareem k dunia Walon pe 3 Ehsan

1. Gandam or Anaaj mein keerey paida kar diye,
Warna log issay soney or Chandi ki tarah Zakheera Kar Letay
Aur log bhookey Mar jate.

2. Mout k baad murdey k jism mein Badboo Paida Ki
Warna koi Apne Pyaaro ko Dafan na Karta.

3. Museebat k Baad Sabar Aur bholnay ki Aadat Di
Warna zindagi Kabhi Khusghawar na Hoti.

To Tum Apne Rab ki Kon Kon si Naimat ko Jhutlaao gey? 

9
Ashfaq Ahmed ZAVIA Mein Likhtay Hain:

"Mere Pas 1 Bili Thi.
Us Ko Jab Bhuk Lagti Thi Aa Kr Mere Paun Chat'ti Thi.
Aur Mein Usy Khana Dai Deta Tha.

Eik Din Mene Socha K Ye Bili Mujh Sy Behtar Hai.
Is Ko Pakka Yakeen Hai K Apny Malik K Pas Sy Is Ki Talab Puri Ho Gi,
Aur Insan Ko Yakeen Nahi.

Insan Har Fikar Apny Zimay Lai Laita Hai.
Un Kamon Ki Bhi Jo Us K Ikhtiyar Mai Nahi.

Apni Har Talab ALLAH Se Maango
Aur Qabooliyat Ka Mukamal Yaqeen Rakho.  

10
 Nabi (s.a.w) Said: Musalmano! Apne Hukumranon ko Bura na kaho,

Aur Allah se unki bhalai ki Dua manga karo,

Kyu k unki bhalai mei tumhari bhalai hai.  Tibrani 

11
 Hadees!

Agar Dunia Main Koi Shakhs Dosray Shakh K Gunahon Ko Chupata Hai
Aur Parda Poshi Karta Hai
To Roz-e-Qiyamat ALLAH TA'ALA Bhi
Us Ke Gunahon ki Pardha Poshi Kare Ga Aur Usay Muaf Kar De Ga. 

12
Jab Subha Utho to Kalma Tayyba Parho
Kyon k Marne k baad jab Qabar Mai Farishte
Hum Se sawal jawab karne Aengay or humain Utthaengy or Pochhengy
K tumhara RAB kon Hai?
Tumhara DEEN kya hy?

To hum Apni Aadat k mutabiq Kalma Tayyaba Parte Hue Utthengy
Or Kalma Tayyaba Mai He un Farishton k Sawalon k Jawab Mojod Hen.  

13
Mai Faqat KHAAK Hon Magar.

"MOHAMMAD" (S.A.W) Se Hai Nisbat Meri,


Yehi Ek RISHTA Hai Jo Meri AUQAAT badal Deta Hai. 

14
Hadees!
Tum Me Se 1 Shakhs Gunah Karta Hai
Aur Is Ka Gunah Nama Amaal Me Likh Dia Jata Hai,
Phr Wo Toba-o-Astaghfar Krta
To ALLAH TA'ALA use Muaf Kar Deta Hai!

Aap(S.A.W.W)Ne Yeh Irshad 2 Bar Frmaya,
Phr Frmaya K Jub Tak Tum Toba-o-Astaghfar Se Na Uktao
To ALLAH TA'ALA Muaf Karne Se Nahi Uktata."  Tibrani 

15
 
RASOOLULLAH (Sallallaho Alaihey Wa Sallam) Ne Farmaya,
"Jab Log Buraai Hotey Hoey Dekh Lain
Or Usey Badalney (Rokney) Ki Koshish Na Karen
To Qareeb Hai K ALLAH Unhen Apney Azaab Ki Girift (Pakar) Me Le Ley."

(Abu Da'od Hadith# 4338, Tirmizi Hadith# 2178)
 

16
Log Hain Khoj Main, Allah Kahan Rahta Hai,
Qalb e Momin Main Wo Har Aan Nehaan Rahta Hai.

Torh Kar Dekh le Khud apne hi 'dill' ko Aye Dost,
Aap Dekhe Ga k Allah d_l_l l Yahan Rahta Hai.

Chalen dill khol k Dekhte Hain.
dill
d_ill
d_i_ll
d_i_l l

Kahiye ALLAH Nazar Aaya? Taalib e Dua: 

17
Hadees!

Hazrat Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai K
Rasool-e-Akram (S.A.W.W) ne Farmaya,
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne ALLAH ki Raah mein Kharch Kar Diya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Ghulaam Aazad Karne mein Sarf Kiya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne Miskeen par Sadqa Kiya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Apne Ehl-o-Ayaal par Sarf kiya.

In Mein Sab se Zyada Bayis-e-Ajr-o-Sawaab Woh Hai
Jo tu ne Apne Ehl-o-Ayaal par Sarf Kiya.  {Muslim Sharif} 

18
   Nabi (S.A.W) Said: Haya Emaan Mai Se Hai.
Aur Emaan Jannat Mei Le Jata Hai.

Aur
Behayai Koora Karkat Hai
Aur Koora Karkat Aag Mai Le Jata Hai. Tirmzi 

19
Hadees!

"Sab Se Wazni Cheez Jo Qayamat Kay Din
Momin K Meezan Mein Rakhi Jae Gi
Wo Us ka "Husn-e-ikhlaq" Hoga."  (Abu Daa'ud).  

20
 
Ye Azmat-E-Baatil Dhoka Hai,
Ye sarwat-E-Kaafir kuch B nhi

Mitti k khilone hain saare,
Ye kuffar k lashkar kuch bhi nhi

AllAH sE Darny walon ko,
Baatil sE Darana mushkil Hai

Gar Khauf-E-Khuda Ho Dil mE Tu
Taaghoot k paikar kuch bhi nhi

Dastoor B Hai, Tanzeem B Hai,
Tehzeeb B Hai Taleem B Hai

Manshoor Jo apna Quraan Ho,
Kisraa-O-Qaisar kuch B nhi

Quraan agar Dastoor nhi,
Islaam agr manzoor nhi

Tu laanat is Azaadi per,
Ye Mulk yE parcham kuch B nhi 



21

  Burai ki Misaal Aisay Hai Jesy Pahaar Se Nechy Utarna,

Ek Qadam Uthao Tou Baki Uthty Chaly Jaty Hain.

Aur

Acchai ki Misaal Aisay Hai Jaisy Pahar Par Charna
Aik Qadam k Bad Agla Gadam Na'mumkin Lagta Hai. 

22
Rab Ke Mehboob, Sahi Raah Dikhane Wale,

Ahl-e-Eman Teri Aan Per, Mar Jane Wale,

Bach Nahi Sakte Saza Se, Ye Gustakhan-e-Rasool,

Khaak ho Jayen ge, Khaakon K Banane Wale!

Do Not Use Facebook. 

23
ALLAH ne "SOOD" se Roka,
Humne Bank Bana diye,

ALLAH ne "Zina" se roka,
Humne Cable chala dia,

ALLAH ne "Parde" ka hukm dia,
Humne be-hyai ko aam krdia,

ALLAH ne kaha mere NABI ki sunnat ko na chorna,
Humne Ghairo k Tariqe apna lye,

ALLAH ne kaha QURAN me tmhari kamyabi poshida hai,
Hum usy OXFORD ki kitabo me dekhte hen,

Zara Sochiye k hm isi wja se preshan or Zalil ho rahe hen,

Jisko Razi Karna tha usi ko Naraz Kar Dia.  

24
Seene se Hamare Kahin Emaan hai Ghayab,
Muslim hain per Pehchan Ghayab.

Dunia ki Lazzatoun Main bus Mashghol Hain Hum Sub,
Or Dil se RAB-PAK ka Farman Hai Ghayab.

Hum Samne Kaise jayn Gey KHUDA K,
Jab Aakhrat ka Sabhi Saman hai Ghayab.
(Namaz Qaim Kijye or Apni Aakhrat Sanwaren)
JUMMA MUBARAK 

25
Jumma-tul-Mubarak ki Dua:

Allah Aapki Umer Lambi Kary
Allah Aapko Khush Rakhy
Allah Aapke Rizq Main Barkat De
Allah Aapki Har Murad Puri Kary

Yaad Ho Gaya?

Chal Pakar Pyala or Pohanch Masjid Pe. :-) 

26
ALLAH Rab-ul-Izzat Kitna Kareem or Meherban hai.


Hamari Ibadat or Taqwa Hamare Chehre Se Zahir Karta Hai.

Magar

Hamare Gunah Doosron Se Chupata Hai.
 

27
Husn-e-Kirdar Se Noor-e-Mujasim Ho Ja...

K Iblees Bhi Tujhey Dehkey to Musalman ho Jaye... 

28
Jab Kabhi Tum Ko Apnay
"RIZQ"
Mein Kami Nazar Aany Lagy

To Kuch Maal

"ALLAH" Ki Raah Mai De Kar
"ALLAH" K Saath "TijaaraT" Kar Liya Karo. 

29
Zulm Karne Walon Ko Kartooton Se Allah Taala Ko Ghafil Na Samjho.
Woh To Unhain Us Din Tak Mohlat Diye Huye Hain.
Jis Din Aankhen Phati Ki Phati Reh Jaengi. (Surah Ibrahim, Ayat:24) 

30
 
Imam Ghazali R.A Farmatay Hain.

Lazzat Ki Khatir Gunah Mat Karo.
Lazzat Khatam Hojaegi,
Lekin Gunah Baqi Reh Jaega.

Aur

Mushaqqat Ki Khatir Neki Mat Choro.
Mushaqqat Khatam Ho Jaegi,
Lekin Neki Baqi Reh Jaegi. 

   
     

No comments:

Post a Comment